Tuesday, April 7, 2009

......:( smile please ):......


1>@fun@
{ yo newton}

kya ap jante hai ki mahan scientist newton ne sucide kyon kiya ? javab janana chayte ho to suno....>>>
mana jata hai ki vo ek bar bharat aye thai or galti se south ki star rajnikant ki film dekh betthe.rajnikat ke anokhen kartabo ke samne unhen apna knowledge kafi kam laga. aisa unhone kya dekh liya chalo dekhte hai>>>>
ek scene mein vo gunddo se bhid jate hai. laikin unki banduk mein goli nahi hoti hai. achnak ek gunda un par goli chla deta hai rajnikant apni banduk khol uss goli ko apni banduk mein le lete hai or ushi goli se gundo ko shoot kar dete hai..
ek or film mein rajnikant ko brain tumor hota hai. doctor ne unke marne ki goshna kar di thi. ushi dohran vai gundo se bhid jate hai or ek goli unke kano se gusti hui tumor mein hookar nikal jate hai...

or or or or .. kya hona tha,
rajnikant thik ho jate hai..

2>@fun@
{yo chemistry class}

??chemistry k ek student ko pyar ho gaya jarha dekhein vo apne pyar ka ejhhar kaise karta hai>>>>>
ek din practical k waqt najar ayi ek ladki
sundar si nose uski test tube jaisi
baton mein uske glucose si mithas thi
sason mein ethar si khushbu samaye thi
aankhon mein radium sa ehsass hua
aankhan ladi , reaction hua.


fir lagne lage uske ghar k chakkar aise,

nucleus k charo or electron jaise.

ek din hamare test ka information tha
jab uske dad se mera introduction tha
humare baatein sunkar vo aise uchle
jaise ignetion tube mein sodium bhadak uthai.

bolae hosh mai aaoo, pahchano apni aukat
iron kabhi mil nahi sakta gold k sath

is tharah tuth gaya humare armano ka beaker
hum to chup hi rahe , aldehide ka kadva gunt pikar
jindgi ho gayi unsaturated hydrocarban ki tarha
idhar udhar gumta raha avara hydrogen ki tarha.

No comments:

Post a Comment